Learn Daily Azkar : रोज़मर्रा के अज़कार : Allah ka Zikr roz karen


Learn Daily Azkaar : Iss post me aap Learn Daily Azkaar seekhenge, jinhen Sahih Hadith ke hawale se pesh kiya gaya hai hame Learn Daily Azkaar matlab Allah ka Zikr karte rehna chahiye. Iski bahut zyada fazeelat aur Ajr o Sawab hai. Learn Daily Azkaar:

• Qur’an
• Subhan Allah — 100 baar
• Alhamdulillah, Subhan Allah, La ilaha illal lah,
Allahu Akbar
• Subhan Allahi wa Bihamdihi — 100 baar
• Subhan Allahi wa Bihamdihi, Subhan Allahi-l
Azeem
• Astagfirullaha wa aatubu ilayhi — 100 baar
• Rabbighfirli wa tub alayya innaka antat tawwabur
rahim — 100 baar
• La hawla wa la quwwata illa billah
• Sall Allahu alayhi was sallam, Allahumma Salli wa
Sallam alaa Nabiyyinaa Muhammad (Aey Allah,
Rahmat aur barkat nazil farmaiye Muhammad par) — ye
asaan darood hain, muqammal wale bhi zaroor
padhen
• Laa ‘ilaaha ‘illallaahu wahdahu laa shareeka lahu,
lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa Huwa ‘alaa kulli
shay’in qadeer — 100 baar ya 10 baar ya 1 baar

• Qur’an

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jis ne Qur’an ka ek harf padha usey us ke badley ek
neki milegi, aur ek neki 10 guna badha di jayegi. Mai
nahi kehta «Alif-Laam-Meem» ek harf hai, balke «Alif»
ek harf hai, «Laam» ek harf hai aur «Meem» ek harf
hai.”
[Sunan Tirmidhi 2910 | Hasan]

• Subhan Allah — 100 baar

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“(Jo shakhs) 100 baar ‘Subhan Allah’ kahe to hazaar
nekiyaan uske liye likhi jayengi aur hazaar gunah uske
mita diye jayenge.”
[Sahih Muslim 2698]

• Alhamdulillah, Subhan Allah, La ilaha illallah, Allahu Akbar

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ek darkhat ke paas se
guzrey jis ki pattiyan sookh gayi then. Aap (Sallallahu Alayhi
Wasallam) ne us par apni chadi maari to pattiyaan jhad padeen. Aap
(Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya: “Alhamdulillah, Subhan
Allah, La ilaha illal lah, Allahu Akbar – kehne se bande ke gunah ese
hi jhad jaate hain jese is darkhat ki pattiyyan jhad gayeen.”
[Tirmidhi 3533 | Hasan]

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Allah Ta’ala ka zikr jo tum karte ho wo – Subhan Allah, La ilaha
illal lah, Alhumdulillah – Ye kalma arsh ke ird gird ghoomte rehte
hain, inme shehad ki makhiyo ki bhinbhinahat ki tarah aawaz hoti
hai, apne kehne wale ka zikr karte hain (Allah ke saamne). Kya tum
me se koi ye pasand nahi karta ke iske liye ek aisa shakhs ho jo Allah
Ta’ala ke saamne is ka barabar zikr karta rahe?”
[Ibn Majah 3809 | Hasan]

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Sabse behtareen zikr ‘La ilaha ilalallah’ hai aur sabse behtareen
duaa ‘Alhumdulillah’ hai.”
[Ibn Majah 3800 | Hasan]

• Subhan Allahi wa Bihamdihi — 100 baar

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jis ne Subhan Allahi wa Bihamdihi din me 100
martaba kaha, us ke gunah maaf kar diye jaate hain,
chahe samundar ki jhaag ke barabar hi kyun naa ho.”
[Sahih Bukhari 6405]

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jo shakhs subha ko aur shaam ko ‘Subhan Allahi wa
Bihamdihi’ 100 baar kahe, Qayamat ke din wo us se
behtar koi amal lekar naa aayega siwaye us ke jo utna
hi ya us se zyada kahe.”
[Sahih Muslim 2692]

• Subhan Allahi wa Bihamdihi, Subhan
Allahi-l Azeem

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Do kalme hain jo zubaan par halke hain aur (Qayamat
ke din) merzaan (tarazu) me bhari honge aur Rabb ul
Alameen ko bahut pasand hain.”
[Sahih Muslim 2694]

• Astagfirullaha wa aatubu ilayhi — 100
baar

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Mai to har roz Allah Ta’ala se 100 baar astaghfar aur
tauba karta hoon.”
[Ibn Majah 3815 | Hasan]

• Rabbighfirli wa tub alayya innaka antat
tawwabur rahim — 100 baar

Abdullah Ibn Umar (Radhi Allahu Anhu) kehte hain:
“Hum gina karte the Rasool Allah (Sall Allahu alayhi
wasallam) majlis me – Aey mere Rabb mujhe baksh
dein, meri tauba qubool farma len, Aap hi tauba
qubool farmane wale aur rehem karne wale hain – 100
baar kehte the.”
[Ibn Majah 3814 | Sahih]

• La hawla wa la quwwata illa billah

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Kya mai tumhe wo kalma naa batadun jo Jannat ke
khazano me se ek khazana hai?” Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya:
Wo “La hawla wala qawwata illa billah hai (Allah ki
madad ke begair naa kisi me gunaho se bachne ki
taqat hai naa neki karne ki himmat)”
[Ibn Majah 3825 | Sahih]

Durood Shareef (Durood e Ibrahim)

• Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kama sallaita ala Ibrahim wa ala aali Ibrahim inna ka hameedum majeed, Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kama barakta ala Ibrahim wa ala aali Ibrahim innaka hameedum majeed

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jo shakhs mere upar salaah (durood-o-rehmat) bheje
gaa, to Allah is par 10 baar salaah (durood-o-rehmat)
bheje gaa, aur is ke 10 gunah maaf aur 10 darje buland
kardiye jaaein gey.”
[Sunan An Nasaai 1297]

• Laa ‘ilaaha ‘illallaahu wahdahu laa
shareeka lahu, lahul-mulku wa lahul-
hamdu, wa Huwa ‘alaa kulli shay’in qadeer
— 100 baar ya 10 baar ya 1 baar

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jis ne ye kalma – Allah ke siwa koi mabood nahi, tanha hai
Uska koi shareek nahi, Usi ke liye badshahi hai aur Usi ke
liye tareefein hain aur Wo har cheez par qudrat rakhne wala
hai — din me 100 dafa padha usey das gulamo ko azaad
karne ka sawaab milega aur uske liye 100 nekiyaan likh di
jayengi aur uski 100 buraiyan mita di jayengi aur us din wo
shaitaan ke shar se mehfooz rahega shaam tak ke aur koi
shakhs us din usse behtar kaam karne wala nahi samjha
jayega siwa uske jo usse zyada kare.”
[Sahih Bukhari 6403]

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jo shakhs (upar wale alfaaz) 10 martaba kahe usko itna
sawaab hoga jese char shakhs ko Ismail (alahis salam) ke logo
me se azaad karaya.”
[Sahih Muslim 2693]

Rasoolullah (Sallallahu Aayhi Wasallam) ne farmaya:
“Jo shakhs Subha ke waqt (upar wale alfaaz) kahe to usey
aulaad e Ismael me se ek shakhs azaad karne ke barabar
sawaab milega, aur us ke liye 10 nekiyaan likhi jayengi, 10
buraiyan mita di jayengi, us ke 10 darje buland kar diye
jayenge, aur wo sham tak Shaitan ke shar se mehfuz rahega,
aur agar sham ke waqt kahe to subha tak us ke sath yahi
muamla hoga.”
[Sunan Abu Dawud 5077]


एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.